Love sayri in Hindi

 तेरे ख्याल से खुद को छुपा के देखा है,

दिल-ओ-नजर को रुला-रुला के देखा है,

तू नहीं तो कुछ भी नहीं है तेरी कसम,

मैंने कुछ पल तुझे भुला के देखा है।

Tere Khayal Se Khud Ko Chhupa Ke Dekha Hai,

Dil-o-Najar Ko Rula-Rula Ke Dekha Hai,

Tu Nahi To Kuchh Bhi Nahi Hai Teri Kasam,

Maine Kuchh Pal Tujhe Bhula Ke Dekha Hai.


हम आपकी हर चीज़ से प्यार कर लेंगे,

आपकी हर बात पर ऐतबार कर लेंगे,

बस एक बार कह दो कि तुम सिर्फ मेरे हो,

हम ज़िन्दगी भर आपका इंतज़ार कर लेंगे।

Hum Aapki Har Cheez Se Pyar Kar Lenge,

Aapki Har Baat Par Aitbaar Kar Lenge,

Bas Ek Bar Keh Do Ki Tum Sirf Mere Ho,

Hum Zindagi Bhar AapKa Intezaar Kar Lenge. 

Khwabon Ke Ghar Mein Shayari

नहीं जो दिल में जगह तो नजर में रहने दो,

मेरी हयात को तुम अपने असर में रहने दो,

मैं अपनी सोच को तेरी गली में छोड़ आया हूँ,

मेरे वजूद को ख़्वाबों के घर में रहने दो।

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,

Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,

Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,

Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.


प्यार उस से इस कदर करता चला जाऊं,

वो ज़ख्म दे और मैं भरता चला जाऊं,

उस की ज़िद है कि वो मुझे मार ही डाले,

तो मेरी भी ज़िद है कि उसपे मरता चला जाऊं।

Pyar Uss Se Iss Qadar Karta Chala Jaaun,

Wo Zakhm De Aur Main Bharta Chala Jaaun,

Uss Ki Zid Hai Ki Wo Mujhe Maar Hi Dale,

To Meri Bhi Zid Hai Ki Uspe Marta Chala Jaaun. 

Shayari on Love, Tere Khayal Ka Jalwa

किताब-ए-दिल में भी रखा तो ताज़गी ना गई,

तेरे ख्याल का जलवा गुलाब जैसा है।

Kitaab-e-Dil Mein Bhi Rakha To Tazagi Na Gayi,

Tere Khayal Ka Jalwa Gulaab Jaisa Hai.


Hindi Love Shayari, Tere Khayal Ka Jalwa


तेरे ख्याल में जब बेख्याल होता हूँ,

जरा सी देर को ही सही बेमिसाल होता हूँ।

Tere Khayal Mein Jab BeKhayal Hota Hoon,

Jara Si Der Ko Hi Sahi BeMisaal Hota Hoon.


Shayari about Love in Hindi

तू हकीकत-ए-इश्क है या कोई फरेब,

ज़िन्दगी में आती नहीं ख़्वाबों से जाती नहीं।

Tu Haqeekat-e-Ishq Hai Ya Koi Fareb,

Zindgi Mein Aati Nahi Khwabon Se Jati Nahi.


तेरा ज़िक्र तेरी फ़िक्र तेरा एहसास तेरा ख्याल,

तू खुदा तो नहीं फिर हर जगह क्यों है।

Tera Zikr Teri Fikr Tera Ehsaas Tera Khayal,

Tu Khuda To Nahi Phir Har Jagah Kyun Hai.


रोज वो ख़्वाब में आते हैं गले मिलने को,

मैं जो सोता हूँ तो जाग उठती है किस्मत मेरी।

Roj Wo Khwab Mein Aate Hain Gale Milne Ko,

Main Jo Sota Hun To Jaag UthhTi Hai Kismat Meri 

Shayari Mohabbat Mein Jo Dooba Ho

तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है,

हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है,

मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना,

किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है।


Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai,

Humein To Jisne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai,

Mohabbat Mein Jo Dooba Ho Use Sahil Se Kya Lena,

Kise Iss Behar Mein Jakar Kinara Yaad Rehta Hai.


Beautiful Love Poetry in Hindi

बेवजह हम वजह ढूंढ़ते हैं तेरे पास आने को,

ये दिल बेकरार है तुझे धड़कन में बसाने को,

बुझती नहीं है प्यास मेरे इस प्यासे दिल की,

न जाने कब मिलेगा सुकून तेरे इस दीवाने को।


Bewajah Hum Wajah Dhhoodhte Hain Tere Paas Aane Ko,

Yeh Dil Bekaraar Hai Tujhe Dhadkan Mein Basaane Ko,

Bujhti Nahin Hai Pyaas Mere Iss Pyaase Dil Ki,

Na Jaane Kab Milega Sukoon Tere Iss Diwane Ko 

Shayari about Love, Mohabbat Ek Khushboo Hai

मोहब्बत एक खुशबू है हमेशा साथ रहती है,

कोई इंसान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता।

Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Rahti Hai,

Koi Inssan Tanhai Mein Bhi Kabhi Tanha Nahi Rahta.


Shayari Love - Mohabbat Ek Khushboo


दिल में आहट सी हुई रूह में दस्तक गूँजी,

किस की खुशबू ये मुझे मेरे सिरहाने आई।

Dil Mein Aahat Si Hui Rooh Mein Dastak Goonji,

Kis Ki Khushboo Yeh Mujhe Mere SirHane Aayi.


Hindi Love Shayari for Girlfriend

मैं कुछ न कहूँ और ये चाहूँ कि मेरी बात,

खुशबू की तरह उड़ के तेरे दिल में उतर जाए।

Main Kuchh Na Kahoon Aur Ye Chaahun Ke Meri Baat,

Khushboo Ki Tarah Ud Ke Tere Dil Mein Utar Jaye.


वो तो खुशबू है हवाओं में बिखर जाएगा,

मसला फूल का है फूल किधर जाएगा।

Wo To Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jayega,

Masla Phool Ka Hai Phool Kidhar Jayega. 


मैं अल्फाज़ हूँ तेरी हर बात समझता हूँ​,

मैं एहसास हूँ तेरे जज़्बात समझता हूँ​,

कब पूछा मैंने ​कि ​क्यूँ दूर हो मुझसे​,

मैं दिल रखता हूँ तेरे हालात समझता हूँ​।


Main Alfaz Hun Teri Har Baat Samjhta Hoon,

Main Ehsaas Hun Tere Jazbat Samjhta Hoon,

Kab Puchha Maine Ke Kyun Dur Ho Mujhse,

Main Dil Rakhta Hoon Tere Halaat Samjhta Hoon 

GalatFehmi Ki Gunjaish Nahi True Love Shayari

गलतफहमी की गुंजाईश नहीं सच्ची मोहब्बत में,

जहाँ किरदार हल्का हो कहानी डूब जाती है।

GalatFehmi Ki Gunjaish Nahi Sachchi Mohabbat Mein,

Jahan Kirdaar Halka Ho Kahani Doob Jati Hai.


उसे हम छोड़ दें लेकिन बस इक छोटी सी उलझन हैं,

सुना है दिल से धड़कन की जुदाई मौत होती है।

Use Hum Chhod De Lekin Bas Ik Chhoti Si Uljhan Hai,

Suna Hai Dil Se Dharkan Ki Judai Maut Hoti Hai.


सब मिटा दें दिल से, हैं जितनी उसमें ख्वाहिशें,

गर हमें मालूम हो कुछ उसकी ख्वाहिश और है।

Sab Mita Dein Dil Se, Hain Jitni Usmein Khwahishein,

Gar Humein Maloom Ho Kuchh Uski Khwahish Aur Hai.


शायद वो अपना वजूद छोड़ गया है मेरी हस्ती में,

यूँ सोते-सोते जाग जाना मेरी आदत पहले कभी न थी।

Shayad Wo Apna Wajood Chhod Gaya Hai Meri Hasti Mein,

Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi. 

इस लफ़्ज़े-मोहब्बत का इतना सा फसाना है,

सिमटे तो दिले-आशिक़ फैले तो ज़माना है,

ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना तो समझ लीजे,

एक आग का दरिया है और डूब के जाना है।


Iss Lafze-Mohabbat Ka Itna Sa Fasaana Hai,

Simte To Dile-Aashiq Faile To Zamana Hai,

Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna To Samajh Leeje,

Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai.


Lafz-e-Mohabbat Hindi Love Shayari


Best Hindi Shayari about Mohabbat (Love)

होठों पर मोहब्बत के फ़साने नहीं आते,

साहिल पर समंदर के खजाने नहीं आते,

पलकें भी चमक उठती हैं सोते हुए हमारी,

आँखों को अभी ख्वाब छुपाने नहीं आते।


Honthhon Par Mohabbat Ke Fasaane Nahi Aate,

Sahil Par Samandar Ke Khazane Nahi Aate,

Palkein Chamak UthhTi Hain Sote Huye Humari,

Aankhon Ko Bhi Khwaab Chhupane Nahi Aate. 

Ishq Ke Pehle Imtehaan Mein

ना मैं ख्याल में तेरे ना मैं गुमान में हूँ,

यकीन दिल को नहीं है कि इस जहान में हूँ,

खुदाया रखियेगा दुनिया में सरफ़राज़ मुझे,

मैं पहले इश्क़ के पहले इम्तिहान में हूँ।


Na Main Khayal Mein Tere Na Main Gumaan Mein Hoon,

Yakeen Dil Ko Nahi Hai Ke Iss Jahaan Mein Hoon,

Khudaya Rakhiyega Duniya Mein Sarfaraz Mujhe,

Mein Pehle Ishq Ke Pehle Imtehaan Mein Hoon 

वहां तक चले चलो जहाँ तक साथ मुमकिन है,

जहाँ हालात बदलेंगे वहां तुम भी बदल जाना।

Wahan Tak Chale Chalo Jahan Tak Saath Mumkin Hai,

Jahan Halaat Badlenge Wahan Tum Bhi Badal Jana.


Wahan Tak Chale Chalo Love Shayari


खींच लेती है हर बार मुझे तेरी मोहब्बत,

वरना मैं बहुत बार मिला हूँ आखिरी बार तुझसे।

Kheench Leti Hai Har Baar Mujhe Teri Mohabbat,

Varna Main Bahut Baar Mila Hun Akhiri Baar Tujhse. 


Wo Rooh Mein Samaya Hai

दूर रहकर भी जो समाया है,

मेरी रूह की गहराई में,

पास वालों पर वो शख्स,

कितना असर रखता होगा।

Door Rahkar Bhi Jo Samaya Hai,

Meri Rooh Ke Gehrayi Mein,

Paas Walon Par Woh Shakhs,

Kitna Asar Rakhta Hoga. 


बदला वफाओं का देंगे बहुत सादगी से हम,

तुम हमसे रूठ जाओ और ज़िंदगी से हम।

Badla Wafaon Ka Denge Bahut Saadgi Se Hum,

Tum Humse Ruthh Jaao Aur Zindgi Se Hum.


Cute Couple Hindi Love Shayari


मुझको चाहते होंगे और भी बहुत लोग,

मगर मुझे मोहब्बत सिर्फ अपनी मोहब्बत से है।

MujhKo Chahte Honge Aur Bhi Bahut Log,

Magar Mujhe Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai

कब तक वो मेरा होने से इंकार करेगा,

खुद टूट कर वो एक दिन मुझसे प्यार करेगा,

प्यार की आग में उसको इतना जला देंगे,

कि इजहार वो मुझसे सरे-बाजार करेगा।


Kab Tak Woh Mere Hone Se Inkaar Karega,

Khud Toot Kar Wo Ek Din MujhSe Pyaar Karega,

Pyar Ki Aag Mein Hum Usko itna Jala Denge.

Ke Ijhaar Woh Mujhse Sare-Baajar Karega.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

50+ Power Tarike Website Traffic कैसे बढ़ाये | Blog पर Organic Traffic बढ़ाने के Solid तरीके.

छत्रपति शिवाजी महाराज का इतिहास

अपने ब्लॉग पर ट्रैफिक कैसे how to bring traffic to your blog